Silsilay Torr Gya Woh Sabhi Jatay Jatay….
Posted by عمار - aMmAr | Posted in Rekhta | Posted on 11-12-2008-05-2008
19

Silsilay Torr Gya Woh Sabhi Jatay Jatay
Werna Itnay Tau Maraasim Thay Kay Atay Jatay
Shikvaa Zulmat-e-Shab Se Tau Kahee Behter Thaa
Apnay Hissay Ki Koi Shamma Jalatay Jaatay
Kitnaa Assan Tha Terey Hijr Mai Marna Janaa
Phir Bhi Ek Umr Lagee Jaan Se Jaaatay Jaaatay
Jashne Maqtil Bhi na Burpa Hua Werna Hum Bhi
Pa-bajola Hee Sahe, Naachtey Gaatey Jaatey
Uskii Woh Jaanay Usay; ‘Paasay Wafaa’ Tha kay Na Thaa
Tum Faraz Apni Taraf Se Tau Nibhatay Jaatay
-Ahmed Faraz
Popularity: 19% [?]
