
Silsilay Torr Gya Woh Sabhi Jatay Jatay
Werna Itnay Tau Maraasim Thay Kay Atay Jatay
Shikvaa Zulmat-e-Shab Se Tau Kahee Behter Thaa
Apnay Hissay Ki Koi Shamma Jalatay Jaatay
Kitnaa Assan Tha Terey Hijr Mai Marna Janaa
Phir Bhi Ek Umr Lagee Jaan Se Jaaatay Jaaatay
Jashne Maqtil Bhi na Burpa Hua Werna Hum Bhi
Pa-bajola Hee Sahe, Naachtey Gaatey Jaatey
Uskii Woh Jaanay Usay; ‘Paasay Wafaa’ Tha kay Na Thaa
Tum Faraz Apni Taraf Se Tau Nibhatay Jaatay
-Ahmed Faraz
Popularity: 17% [?]
[...] This cup of tea was served by: R O N I N [...]
احمد فراز کی کیا بات ہے!!
تصویری فارمیں میں کیوں؟؟؟؟
beutiful poem!
nehein bhai yeh bara mushkil hay… (Tum Faraz Apni Taraf Se Tau Nibhatay Jaatay)…
lolz…
one sided ishq kaisay hota hay.. never seen that…
Jab tera hukum hoa tark muhabbat kr di
dil mager us pe wo dharrka k kayamat kr di
Main tau smjha tha k lot aatay hain janay walay
tu nay jaa kr tau judayi meri kismat kr di
Ahmad Nadeem Qasmi
Waah
Kiya yaad dilaa diyya !
@Asma
Kia yaad dila dia?
@Sahil
Nice one!
@Shoaib
No particular reason, welcome to RONIN.
Thanks Aafaque, Usama and Zios for ur comments.
not in the sad mood right now but yea nice ghazal
wah faraz sahb wah…kya kehnay hain janab…kya kehnay hain…WAH…
and thanks for posting…dil khush kar ditta….
adaab arz hai
Ab k tajdeed-e wafa ka nhi imkan jana..
yad kya tujh ko dilayen tera paiman jana..
aaj mosam ki ada dekh ker he yad aaya..
kis kadr jald badal jatay hen insan jana…
Bahut khoob SahiL, bful ashaars
bful???
short form of beautiful
Khoobsurat!
oh thnx Ammar… i thought k u said Befazul
hum un ki mushkurahat par aapne hos gawan baethe.,
abhi hosh me aehi the ke wo phir mushkura baethe,.,.,
Please explain the meaning of
Pa-bajola Hee Sahe, Naachtey Gaatey Jaatey
Uskii Woh Jaanay Usay; ‘Paasay Wafaa’ Tha kay Na Thaa
Tum Faraz Apni Taraf Se Tau Nibhatay Jaatay
Kia baat hai Maza agia hai …